to kya ye aakhiri khwaahish hai achha bhool jaaun | तो क्या ये आख़िरी ख़्वाहिश है अच्छा भूल जाऊँ

  - Jawwad Sheikh

to kya ye aakhiri khwaahish hai achha bhool jaaun
jahaan bhi jo bhi hai tere alaava bhool jaaun

to kya ye doosra hi ishq asli ishq samjhoon
to pehla tajarbe kii den mein tha bhool jaaun

to kya itna hi aasaan hai kisi ko bhool jaana
ki bas baaton hi baaton mein bhulaata bhool jaaun

kabhi kehta hoon usko yaad rakhna theek hoga
magar phir sochta hoon faaeda kya bhool jaaun

ye koii qatl thodi hai ki baat aayi gai ho
main aur apna nazar-andaaz hona bhool jaaun

hai itni juziyaat is saanhe kii poochiye mat
main kya kya yaad rakhoon aur kya kya bhool jaaun

koii kab tak kisi kii bewafaai yaad rakhe
bahut mumkin hai main bhi rafta rafta bhool jaaun

to kya ye kah ke khud ko mutmain kar loge javvaad
ki vo hai bhi isi laik lihaaza bhool jaaun

तो क्या ये आख़िरी ख़्वाहिश है अच्छा भूल जाऊँ
जहाँ भी जो भी है तेरे अलावा भूल जाऊँ

तो क्या ये दूसरा ही इश्क़ असली इश्क़ समझूँ
तो पहला तजरबे की देन में था भूल जाऊँ

तो क्या इतना ही आसाँ है किसी को भूल जाना
कि बस बातों ही बातों में भुलाता भूल जाऊँ

कभी कहता हूँ उसको याद रखना ठीक होगा
मगर फिर सोचता हूँ फ़ाएदा क्या भूल जाऊँ

ये कोई क़त्ल थोड़ी है कि बात आई गई हो
मैं और अपना नज़र-अंदाज़ होना भूल जाऊँ

है इतनी जुज़इयात इस सानहे की पूछिए मत
मैं क्या क्या याद रक्खूँ और क्या क्या भूल जाऊँ

कोई कब तक किसी की बेवफ़ाई याद रक्खे
बहुत मुमकिन है मैं भी रफ़्ता रफ़्ता भूल जाऊँ

तो क्या ये कह के ख़ुद को मुतमइन कर लोगे 'जव्वाद'
कि वो है भी इसी लाइक़ लिहाज़ा भूल जाऊँ

  - Jawwad Sheikh

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari