aap jaison ke liye is mein rakha kuchh bhi nahin | आप जैसों के लिए इस में रखा कुछ भी नहीं

  - Jawwad Sheikh

aap jaison ke liye is mein rakha kuchh bhi nahin
lekin aisa to na kahiye ki wafa kuchh bhi nahin

aap kahiye to nibhaate chale jaayenge magar
is ta'alluq mein aziyyat ke siva kuchh bhi nahin

main kisi tarah bhi samjhauta nahin kar saka
ya to sab kuchh hi mujhe chahiye ya kuchh bhi nahin

kaise jaana hai kahaan jaana hai kyun jaana hai
ham ki chalte chale jaate hain pata kuchh bhi nahin

haaye is shehar ki raunaq ke main sadqe jaaun
aisi bharpoor hai jaise ki hua kuchh bhi nahin

phir koi taaza sukhun dil mein jagah karta hai
jab bhi lagta hai ki likhne ko bacha kuchh bhi nahin

ab main kya apni mohabbat ka bharam bhi na rakhoon
maan leta hoon ki us shakhs mein tha kuchh bhi nahin

main ne duniya se alag rah ke bhi dekha javvaad
aisi munh-zor udaasi ki dava kuchh bhi nahin

आप जैसों के लिए इस में रखा कुछ भी नहीं
लेकिन ऐसा तो न कहिए कि वफ़ा कुछ भी नहीं

आप कहिए तो निभाते चले जाएँगे मगर
इस तअ'ल्लुक़ में अज़िय्यत के सिवा कुछ भी नहीं

मैं किसी तरह भी समझौता नहीं कर सकता
या तो सब कुछ ही मुझे चाहिए या कुछ भी नहीं

कैसे जाना है कहाँ जाना है क्यूँ जाना है
हम कि चलते चले जाते हैं पता कुछ भी नहीं

हाए इस शहर की रौनक़ के मैं सदक़े जाऊँ
ऐसी भरपूर है जैसे कि हुआ कुछ भी नहीं

फिर कोई ताज़ा सुख़न दिल में जगह करता है
जब भी लगता है कि लिखने को बचा कुछ भी नहीं

अब मैं क्या अपनी मोहब्बत का भरम भी न रखूँ
मान लेता हूँ कि उस शख़्स में था कुछ भी नहीं

मैं ने दुनिया से अलग रह के भी देखा 'जव्वाद'
ऐसी मुँह-ज़ोर उदासी की दवा कुछ भी नहीं

  - Jawwad Sheikh

Shahr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading Shahr Shayari Shayari