ishq ne jab bhi kisi dil pe hukoomat ki hai
to use dard ki meraaj inaayat ki hai
apni taaid pe khud aql bhi hairaan hui
dil ne aise mere khwaabon ki himayat ki hai
shahr-e-ehsaas tiri yaad se raushan kar ke
main ne har ghar mein tire zikr ki jurat ki hai
mujh ko lagta hai ki insaan adhoora hai abhi
tu ne duniya mein use bhej ke ujlat ki hai
shehar ke teera-tareen ghar se vo khurshid mila
jis ki tanveer mein taaseer qayamat ki hai
sochta hoon ki main aise mein kidhar ko jaaun
tera milna bhi kathin yaad bhi shiddat ki hai
is tarah aundhe pade hain ye shikasta jazbe
jaise ik vaham ne in sab ki imaamat ki hai
ye jo bikhri hui laashein hain varq par javvaad
ye mere zabt se lafzon ne bagaavat ki hai
इश्क़ ने जब भी किसी दिल पे हुकूमत की है
तो उसे दर्द की मेराज इनायत की है
अपनी ताईद पे ख़ुद अक़्ल भी हैरान हुई
दिल ने ऐसे मिरे ख़्वाबों की हिमायत की है
शहर-ए-एहसास तिरी याद से रौशन कर के
मैं ने हर घर में तिरे ज़िक्र की जुरअत की है
मुझ को लगता है कि इंसान अधूरा है अभी
तू ने दुनिया में उसे भेज के उजलत की है
शहर के तीरा-तरीं घर से वो ख़ुर्शीद मिला
जिस की तनवीर में तासीर क़यामत की है
सोचता हूँ कि मैं ऐसे में किधर को जाऊँ
तेरा मिलना भी कठिन, याद भी शिद्दत की है
इस तरह औंधे पड़े हैं ये शिकस्ता जज़्बे
जैसे इक वहम ने इन सब की इमामत की है
ये जो बिखरी हुई लाशें हैं वरक़ पर 'जव्वाद'
ये मिरे ज़ब्त से लफ़्ज़ों ने बग़ावत की है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh
our suggestion based on Jawwad Sheikh
As you were reading I love you Shayari Shayari