idhar ye haal ki choone ka ikhtiyaar nahin
udhar vo husn ki aankhon pe e'tibaar nahin
main ab kisi ki bhi ummeed tod saka hoon
mujhe kisi pe bhi ab koi e'tibaar nahin
tum apni haalat-e-ghurbat ka gham manaate ho
khuda ka shukr karo mujh se be-dayaar nahin
main sochta hoon ki vo bhi dukhi na ho jaaye
ye daastaan koi aisi khush-gawaar nahin
to kya yaqeen dilaane se maan jaaoge
yaqeen dilaaun ki ye hijr dil pe baar nahin
qadam qadam pe nayi thokren hain raahon mein
dayaar-e-ishq mein koi bhi kaamgaar nahin
yahi sukoon meri be-kali na ban jaaye
ki zindagi mein koi vajh-e-intizaar nahin
khuda ke baare mein ik din zaroor sochenge
abhi to khud se taalluq bhi ustuvaar nahin
gila to mujh se vo karta hai is tarah javvaad
ki jaise main to judaai mein sogwaar nahin
इधर ये हाल कि छूने का इख़्तियार नहीं
उधर वो हुस्न कि आँखों पे ए'तिबार नहीं
मैं अब किसी की भी उम्मीद तोड़ सकता हूँ
मुझे किसी पे भी अब कोई ए'तिबार नहीं
तुम अपनी हालत-ए-ग़ुर्बत का ग़म मनाते हो
ख़ुदा का शुक्र करो मुझ से बे-दयार नहीं
मैं सोचता हूँ कि वो भी दुखी न हो जाए
ये दास्तान कोई ऐसी ख़ुश-गवार नहीं
तो क्या यक़ीन दिलाने से मान जाओगे?
यक़ीं दिलाऊँ कि ये हिज्र दिल पे बार नहीं
क़दम क़दम पे नई ठोकरें हैं राहों में
दयार-ए-इश्क़ में कोई भी कामगार नहीं
यही सुकून मिरी बे-कली न बन जाए
कि ज़िंदगी में कोई वजह-ए-इन्तिज़ार नहीं
ख़ुदा के बारे में इक दिन ज़रूर सोचेंगे
अभी तो ख़ुद से तअल्लुक़ भी उस्तुवार नहीं
गिला तो मुझ से वो करता है इस तरह 'जव्वाद'
कि जैसे मैं तो जुदाई में सोगवार नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh
our suggestion based on Jawwad Sheikh
As you were reading Mood off Shayari Shayari