jo bhi jeene ke silsile kiye the
ham ne bas aap ke liye kiye the
tab kahi ja ke apni marzi ki
pehle apnon se mashware kiye the
kabhi us ki nigaah mayassar thi
kaise kaise mushaahide kiye the
aql kuchh aur kar ke baith rahi
ishq ne aur faisley kiye the
baat ham ne sooni hui sooni thi
kaam us ne kiye hue kiye the
use bhi ek khat likha gaya tha
apne aage bhi aaine kiye the
yahan kuchh bhi nahin hai mere liye
tu ne kya kya mubaalga kiye the
awwal aane ka shauq tha lekin
kaam saare hi doosre kiye the
badi mushkil thi vo ghadi javvaad
ham ne kab aise faisley kiye the
जो भी जीने के सिलसिले किए थे
हम ने बस आप के लिए किए थे
तब कहीं जा के अपनी मर्ज़ी की
पहले अपनों से मशवरे किए थे
कभी उस की निगह मयस्सर थी
कैसे कैसे मुशाहिदे किए थे
अक़्ल कुछ और कर के बैठ रही
इश्क़ ने और फ़ैसले किए थे
बात हम ने सुनी हुई सुनी थी
काम उस ने किए हुए किए थे
उसे भी एक ख़त लिखा गया था
अपने आगे भी आइने किए थे
यहाँ कुछ भी नहीं है मेरे लिए
तू ने क्या क्या मुबालग़े किए थे
अव्वल आने का शौक़ था लेकिन
काम सारे ही दूसरे किए थे
बड़ी मुश्किल थी वो घड़ी 'जव्वाद'
हम ने कब ऐसे फ़ैसले किए थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh
our suggestion based on Jawwad Sheikh
As you were reading Ulfat Shayari Shayari