tum agar seekhna chaaho mujhe batla dena | तुम अगर सीखना चाहो मुझे बतला देना

  - Jawwad Sheikh

tum agar seekhna chaaho mujhe batla dena
aam sa fan to koi hai nahin tohfa dena

ek hi shakhs hai jisko ye hunar aata hai
rooth jaane pe fazaa aur bhi mahka dena

husn duniya me isee kaam ko bheja gaya hai
ke jahaan aag lagi ho use bharka dena

un buzurgo ka yahi kaam hua karta tha
jahaan khoobi nazar aayi use chamka dena

dil bataata hai mujhe akl ki baatein kya kya
banda pooche ke tera hai koi lena dena

aur kuchh yaad na rehta tha ladai mein use
haan magar mere gujishta ka hawala dena

uski fitrat mein na tha tark-e-taalluq lekin
doosre shakhs ko is nahd pe pahuncha dena

jaanta tha ki bahut khaak udaayega meri
koi aasaan nahin tha use rasta dena

kya pata khud se chhidi jang kahaan le jaaye
jab bhi yaad aaun meri jaan ka sadka dena

तुम अगर सीखना चाहो मुझे बतला देना
आम सा फ़न तो कोई है नहीं तोहफ़ा देना

एक ही शख़्स है जिसको ये हुनर आता है
रूठ जाने पे फ़ज़ा और भी महका देना

हुस्न दुनिया मे इसी काम को भेजा गया है
के जहाँ आग लगी हो उसे भड़का देना

उन बुजुर्गो का यही काम हुआ करता था
जहाँ ख़ूबी नज़र आई उसे चमका देना

दिल बताता है मुझे अक्ल की बातें क्या क्या
बंदा पूछे के तेरा है कोई लेना देना

और कुछ याद न रहता था लड़ाई में उसे
हाँ मगर मेरे गुजिश्ता का हवाला देना

उसकी फ़ितरत में न था तर्क-ए-तअल्लुक़ लेकिन
दूसरे शख़्स को इस नहद पे पहुँचा देना

जानता था कि बहुत खाक उड़ाएगा मेरी
कोई आसान नहीं था उसे रस्ता देना

क्या पता ख़ुद से छिड़ी जंग कहाँ ले जाए
जब भी याद आऊँ मेरी जान का सदका देना

  - Jawwad Sheikh

Ghamand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading Ghamand Shayari Shayari