nahin aisa bhi ki yaksar nahin rahne waala | नहीं ऐसा भी कि यकसर नहीं रहने वाला

  - Jawwad Sheikh

nahin aisa bhi ki yaksar nahin rahne waala
dil mein ye shor barabar nahin rahne waala

jis tarah khaamoshi lafzon mein dhali jaati hai
is mein taaseer ka unsur nahin rahne waala

ab ye kis shakl mein zaahir ho khuda hi jaane
ranj aisa hai ki andar nahin rahne waala

main use chhodna chaahoon bhi to kaise chhodun
vo kisi aur ka ho kar nahin rahne waala

ghaur se dekh un aankhon mein nazar aata hai
vo samundar jo samundar nahin rahne waala

jurm vo karne ka socha hai ki bas ab ki baar
koi ilzaam mere sar nahin rahne waala

main ne haalaanki bahut waqt guzaara hai yahan
ab main is shehar mein pal bhar nahin rahne waala

maslahat lafz pe do harf na bhejoon javvaad
jab mere saath muqaddar nahin rahne waala

नहीं ऐसा भी कि यकसर नहीं रहने वाला
दिल में ये शोर बराबर नहीं रहने वाला

जिस तरह ख़ामुशी लफ़्ज़ों में ढली जाती है
इस में तासीर का उंसुर नहीं रहने वाला

अब ये किस शक्ल में ज़ाहिर हो, ख़ुदा ही जाने
रंज ऐसा है कि अंदर नहीं रहने वाला

मैं उसे छोड़ना चाहूँ भी तो कैसे छोड़ूँ?
वो किसी और का हो कर नहीं रहने वाला

ग़ौर से देख उन आँखों में नज़र आता है
वो समुंदर जो समुंदर नहीं रहने वाला

जुर्म वो करने का सोचा है कि बस अब की बार
कोई इल्ज़ाम मिरे सर नहीं रहने वाला

मैं ने हालाँकि बहुत वक़्त गुज़ारा है यहाँ
अब मैं इस शहर में पल भर नहीं रहने वाला

मस्लहत लफ़्ज़ पे दो हर्फ़ न भेजूँ? 'जव्वाद'
जब मिरे साथ मुक़द्दर नहीं रहने वाला

  - Jawwad Sheikh

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jawwad Sheikh

As you were reading Shayari by Jawwad Sheikh

Similar Writers

our suggestion based on Jawwad Sheikh

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari