chhat gaye jab aap hi udi ghatta chhaai to kya
turbat-e-paamaal ke sabze pe lehar aayi to kya
jab zaroorat hi rahi baaki na lahan-o-rang ki
koyalein kookiin to kya saawan ki rut aayi to kya
hijr ke aalaam se jab chhut chuki nabz-e-nashaat
ab hawa ne khaar-o-khas mein rooh daudaai to kya
ho chuki zaauq-e-tabassum hi se jab begaangi
ab chaman-afrooz phoolon ko hasi aayi to kya
mud chuki jab maut ke jaade ki jaanib zindagi
ab kisi ne aafiyat ki raah dikhlai to kya
har nafs ke saath dil se jab dhuaan uthne laga
baadlon se chan ke ab thandi hawa aayi to kya
saamne jab aap ke gesu ki lahren hi nahin
badliyon ne charkh par ab zulf bikhraai to kya
ho chuka paayaab jab bahr-e-sar-o-barg-e-shabaab
ab samundar ki jawaani baadh par aayi to kya
guncha-e-ahad-e-tarab hi mil chuka ab khaak mein
khaak-e-gulshan ab gul-e-tar ban ke itraai to kya
mit chuke jab waalihana baankpan ke valvale
aayi ab dosheeza-e-mausam ko angadaai to kya
khul chuka jab parcham-e-gham zindagi ke qasr par
ab hawaon ne kamar paudon ki lachkaaii to kya
aansuon mein bah gaeein jab khoon ki jaulaaniyaan
junglon ki chaanv mein barsaat ithlaaii to kya
josh ke pahluu mein jab tum hi machal sakte nahin
phir ghatta ke daamanoń mein barq lahraai to kya
छट गए जब आप ही ऊदी घटा छाई तो क्या
तुर्बत-ए-पामाल के सब्ज़े पे लहर आई तो क्या
जब ज़रूरत ही रही बाक़ी न लहन-ओ-रंग की
कोयलें कूकीं तो क्या सावन की रुत आई तो क्या
हिज्र के आलाम से जब छुट चुकी नब्ज़-ए-नशात
अब हवा ने ख़ार-ओ-ख़स में रूह दौड़ाई तो क्या
हो चुकी ज़ौक़-ए-तबस्सुम ही से जब बेगानगी
अब चमन-अफ़रोज़ फूलों को हँसी आई तो क्या
मुड़ चुकी जब मौत के जादे की जानिब ज़िंदगी
अब किसी ने आफ़ियत की राह दिखलाई तो क्या
हर नफ़स के साथ दिल से जब धुआँ उठने लगा
बादलों से छन के अब ठंडी हवा आई तो क्या
सामने जब आप के गेसू की लहरें ही नहीं
बदलियों ने चर्ख़ पर अब ज़ुल्फ़ बिखराई तो क्या
हो चुका पायाब जब बहर-ए-सर-ओ-बर्ग-ए-शबाब
अब समुंदर की जवानी बाढ़ पर आई तो क्या
ग़ुंचा-ए-अहद-ए-तरब ही मिल चुका अब ख़ाक में
ख़ाक-ए-गुलशन अब गुल-ए-तर बन के इतराई तो क्या
मिट चुके जब वालिहाना बाँकपन के वलवले
आई अब दोशीज़ा-ए-मौसम को अंगड़ाई तो क्या
खुल चुका जब परचम-ए-ग़म ज़िंदगी के क़स्र पर
अब हवाओं ने कमर पौदों की लचकाई तो क्या
आँसुओं में बह गईं जब ख़ून की जौलानियाँ
जंगलों की छाँव में बरसात इठलाई तो क्या
'जोश' के पहलू में जब तुम ही मचल सकते नहीं
फिर घटा के दामनों में बर्क़ लहराई तो क्या
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Josh Malihabadi
our suggestion based on Josh Malihabadi
As you were reading Zulf Shayari Shayari