kuchh to yaar aisa kaam ho jaaye
is zamaane mein naam ho jaaye
aaj phir behijaab niklo tum
aaj phir qatl-e-aam ho jaaye
yaad itna karo ki hichki se
uska jeena haraam ho jaaye
ab junaid ek hi tamannaa hai
mera qissa tamaam ho jaaye
कुछ तो यार ऐसा काम हो जाए
इस ज़माने में नाम हो जाए
आज फिर बेहिजाब निकलो तुम
आज फिर क़त्ल-ए-आम हो जाए
याद इतना करो कि हिचकी से
उसका जीना हराम हो जाए
अब "जुनैद" एक ही तमन्ना है
मेरा क़िस्सा तमाम हो जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by junaid khan
our suggestion based on junaid khan
As you were reading Yaad Shayari Shayari