tum khuda ho
khuda ke bete ho
ya faqat amn ke payambar ho
ya kisi ka haseen takhayyul ho
jo bhi ho mujh ko achhe lagte ho
mujh ko sacche lagte ho
us sitaare mein jis mein sadiyon ke
jhooth aur kizb ka andhera hai
us sitaare mein jis ko har rukh se
rengti sarhadon ne ghera hai
us sitaare mein jis ki aabaadi
amn boti hai jang kaatti hai
raat peeti hai noor mukhdon ka
subh seenon ka khoon chaatati hai
tum na hote to jaane kya hota
tum na hote to us sitaare mein
devta raakshas ghulaam imaam
paarsa rind raahbar rehzan
brahman shaikh paadri bhikshu
sabhi hote magar hamaare liye
kaun chadhta khushi se sooli par
jhopdon mein ghira ye veeraana
machliyaan din mein sookhti hain jahaan
billiyaan door baithi rahti hain
aur khaarish-zada se kuchh kutte
lete rahte hain be-niyaazaana
dum marode ki koi sar kuchle
kaatna kya vo bhaunkte bhi nahin
aur jab vo dahakta angaara
chan se saagar mein doob jaata hai
teergi odh leti hai duniya
kashtiyaan kuchh kinaare aati hain
bhang gaanja chars sharaab afyoon
jo bhi laayein jahaan se bhi laayein
daudte hain idhar se kuchh saaye
aur sab kuchh utaar laate hain
gaadi jaati hai adl ki mizaan
jis ka hissa usi ko milta hai
yahan khatra nahin khayaanat ka
tum yahan kyun khade ho muddat se
ye tumhaari thaki thaki bhed'en
raat jin ko zameen ke seene par
subh hote undel deti hai
mandiyon daftaron milo ki taraf
haank deti dhakel deti hai
raaste mein ye ruk nahin saktin
tod ke ghutne jhuk nahin saktin
un se tum kya tavakko rakhte ho
bhediyaa un ke saath chalta hai
takte rahte ho us sadak ki taraf
dafn jin mein kai kahaaniyaan hain
dafn jin mein kai javaaniyaan hain
jis pe ik saath bhaagi phirti hain
khaali jeben bhi aur tijoriyaan bhi
jaane kis ka hai intizaar tumhein
mujh ko dekho ki main wahi to hoon
jis ko koodon ki chaanv mein duniya
bechti bhi khareedti bhi thi
mujh ko dekho ki main wahi to hoon
jis ko kheton se aise baandha tha
jaise main un ka ek hissa tha
khet bikte to main bhi bikta tha
mujh ko dekho ki main wahi to hoon
kuchh masheenein banaaiin jab main ne
un masheenon ke maalikon ne mujhe
be-jhijak un mein aise jhonk diya
jaise main kuchh nahin hoon eendhan hoon
mujh ko dekho ki main thaka-haara
phir raha hoon jugon se aawaara
tum yahan se hato to aaj ki raat
so rahoon main isee chabootare par
tum yahan se hato khuda ke liye
jaao vo vietnam ke jungle
us ke masloob shehar zakhmi gaav
jin ko injil padhne waalon ne
raund daala hai phoonk daala hai
jaane kab se pukaarte hain tumhein
jaao ik baar phir hamaare liye
tum ko chadhna padega sooli par
तुम ख़ुदा हो
ख़ुदा के बेटे हो
या फ़क़त अम्न के पयम्बर हो
या किसी का हसीं तख़य्युल हो
जो भी हो मुझ को अच्छे लगते हो
मुझ को सच्चे लगते हो
उस सितारे में जिस में सदियों के
झूट और किज़्ब का अँधेरा है
उस सितारे में जिस को हर रुख़ से
रेंगती सरहदों ने घेरा है
उस सितारे में जिस की आबादी
अम्न बोती है जंग काटती है
रात पीती है नूर मुखड़ों का
सुब्ह सीनों का ख़ून चाटती है
तुम न होते तो जाने क्या होता
तुम न होते तो उस सितारे में
देवता राक्शस ग़ुलाम इमाम
पारसा रिंद राहबर रहज़न
बरहमन शैख़ पादरी, भिक्षु
सभी होते मगर हमारे लिए
कौन चढ़ता ख़ुशी से सूली पर
झोंपड़ों में घिरा ये वीराना
मछलियाँ दिन में सूखती हैं जहाँ
बिल्लियाँ दूर बैठी रहती हैं
और ख़ारिश-ज़दा से कुछ कुत्ते
लेटे रहते हैं बे-नियाज़ाना
दुम मरोड़े कि कोई सर कुचले
काटना क्या वो भौंकते भी नहीं
और जब वो दहकता अँगारा
छन से सागर में डूब जाता है
तीरगी ओढ़ लेती है दुनिया
कश्तियाँ कुछ किनारे आती हैं
भंग गांजा, चरस शराब, अफ़यून
जो भी लाएँ जहाँ से भी लाएँ
दौड़ते हैं इधर से कुछ साए
और सब कुछ उतार लाते हैं
गाड़ी जाती है अद्ल की मीज़ान
जिस का हिस्सा उसी को मिलता है
यहाँ ख़तरा नहीं ख़यानत का
तुम यहाँ क्यूँ खड़े हो मुद्दत से
ये तुम्हारी थकी थकी भेड़ें
रात जिन को ज़मीं के सीने पर
सुब्ह होते उंडेल देती है
मंडियों, दफ़्तरों मिलों की तरफ़
हाँक देती धकेल देती है
रास्ते में ये रुक नहीं सकतीं
तोड़ के घुटने झुक नहीं सकतीं
उन से तुम क्या तवक़्क़ो रखते हो
भेड़िया उन के साथ चलता है
तकते रहते हो उस सड़क की तरफ़
दफ़्न जिन में कई कहानियाँ हैं
दफ़्न जिन में कई जवानियाँ हैं
जिस पे इक साथ भागी फिरती हैं
ख़ाली जेबें भी और तिजोरियां भी
जाने किस का है इंतिज़ार तुम्हें
मुझ को देखो कि मैं वही तो हूँ
जिस को कूड़ों की छाँव में दुनिया
बेचती भी खरीदती भी थी
मुझ को देखो कि मैं वही तो हूँ
जिस को खेतों से ऐसे बाँधा था
जैसे मैं उन का एक हिस्सा था
खेत बिकते तो मैं भी बिकता था
मुझ को देखो कि मैं वही तो हूँ
कुछ मशीनें बनाईं जब मैं ने
उन मशीनों के मालिकों ने मुझे
बे-झिजक उन में ऐसे झोंक दिया
जैसे मैं कुछ नहीं हूँ ईंधन हूँ
मुझ को देखो कि मैं थका-हारा
फिर रहा हूँ जुगों से आवारा
तुम यहाँ से हटो तो आज की रात
सो रहूँ मैं इसी चबूतरे पर
तुम यहाँ से हटो ख़ुदा के लिए
जाओ वो वियतनाम के जंगल
उस के मस्लूब शहर ज़ख़्मी गाँव
जिन को इंजील पढ़ने वालों ने
रौंद डाला है फूँक डाला है
जाने कब से पुकारते हैं तुम्हें
जाओ इक बार फिर हमारे लिए
तुम को चढ़ना पड़ेगा सूली पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaifi Azmi
our suggestion based on Kaifi Azmi
As you were reading Samundar Shayari Shayari