rooh tanhaa gai jannat ko subuk-saari se
chaar ke kaandhe utha jism giraanbaari se
taq taqat hai gham-e-hijr ki beemaari se
baithe uthte hain aahon ki madad-gaari se
husn-e-rukhsaar badha khat ki numoodaari se
zeenat-e-safha hui jadwal-e-zangaari se
tu jo talwaar se nahlaaye lahu mein mujh ko
ghusl-e-sehhat hua bhi ishq ki beemaari se
aur to tark kiya sab ne shab-e-furqat mein
bekasi baaz na aayi meri gham-khwari se
रूह तन्हा गई जन्नत को सुबुक-सारी से
चार के काँधे उठा जिस्म गिराँबारी से
ताक़ ताक़त है ग़म-ए-हिज्र की बीमारी से
बैठते उठते हैं आहों की मदद-गारी से
हुस्न-ए-रुख़्सार बढ़ा ख़त की नुमूदारी से
ज़ीनत-ए-सफ़हा हुई जदवल-ए-ज़ंगारी से
तू जो तलवार से नहलाए लहू में मुझ को
ग़ुस्ल-ए-सेह्हत हुआ भी इश्क़ की बीमारी से
और तो तर्क किया सब ने शब-ए-फ़ुर्क़त में
बेकसी बाज़ न आई मिरी ग़म-ख़्वारी से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kalb-E-Hussain Nadir
our suggestion based on Kalb-E-Hussain Nadir
As you were reading Khat Shayari Shayari