koi pari ho agar ham-kinaar holi mein | कोई परी हो अगर हम-कनार होली में

  - Kalb-E-Hussain Nadir

koi pari ho agar ham-kinaar holi mein
to ab ki saal ho dooni bahaar holi mein

kiya hai wa'da to phir bazm-e-raqs mein aana
na keejiyo mujhe tum sharmasaar holi mein

safed pairhan ab to utaar de allah
basanti kapde hon ai gul-ezaar holi mein

hamaare ghar mein utaarenge raah agar bhule
hain mast doli ke un ke kahaar holi mein

mujhe jo qumquma maara to kar diya bismil
ajeeb rang se khele shikaar holi mein

ye rang paash hue hain vo aaj ai naadir
hai farsh-e-bazm-e-tarab laala-zaar holi mein

कोई परी हो अगर हम-कनार होली में
तो अब की साल हो दूनी बहार होली में

किया है वा'दा तो फिर बज़्म-ए-रक़्स में आना
न कीजियो मुझे तुम शर्मसार होली में

सफ़ेद पैरहन अब तो उतार दे अल्लाह
बसंती कपड़े हों ऐ गुल-एज़ार होली में

हमारे घर में उतारेंगे राह अगर भूले
हैं मस्त डोली के उन के कहार होली में

मुझे जो क़ुमक़ुमा मारा तो कर दिया बिस्मिल
अजीब रंग से खेले शिकार होली में

ये रंग पाश हुए हैं वो आज ऐ 'नादिर'
है फ़र्श-ए-बज़्म-ए-तरब लाला-ज़ार होली में

  - Kalb-E-Hussain Nadir

Festive Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kalb-E-Hussain Nadir

As you were reading Shayari by Kalb-E-Hussain Nadir

Similar Writers

our suggestion based on Kalb-E-Hussain Nadir

Similar Moods

As you were reading Festive Shayari Shayari