dil aankhon se aashiq bachaaye hue hain
hiran ko vo cheeta banaaye hue hain
nahin likhte hain khat jo ham ko vo qaasid
kisi ke sikhaaye padhaaye hue hain
na khanjar uthega na talwaar un se
vo baazu mere aazmaaye hue hain
agar un ko pooja to kya kufr hoga
ki but bhi khuda ke banaaye hue hain
koi baandho na baandhe ab kuchh na hoga
ki ham rang apna jamaaye hue hain
hazj mein bhi ashaar ai naadir ab padh
ki bazm-e-sukhan mein sab aaye hue hain
दिल आँखों से आशिक़ बचाए हुए हैं
हिरन को वो चीता बनाए हुए हैं
नहीं लिखते हैं ख़त जो हम को वो क़ासिद
किसी के सिखाए पढ़ाए हुए हैं
न ख़ंजर उठेगा न तलवार उन से
वो बाज़ू मिरे आज़माए हुए हैं
अगर उन को पूजा तो क्या कुफ़्र होगा
कि बुत भी ख़ुदा के बनाए हुए हैं
कोई बाँधो न बाँधे अब कुछ न होगा
कि हम रंग अपना जमाए हुए हैं
हज़ज में भी अशआर ऐ 'नादिर' अब पढ़
कि बज़्म-ए-सुख़न में सब आए हुए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kalb-E-Hussain Nadir
our suggestion based on Kalb-E-Hussain Nadir
As you were reading Aashiq Shayari Shayari