phoolon ko apne paanv se thukraaye jaate hain | फूलों को अपने पाँव से ठुकराए जाते हैं

  - Kalb-E-Hussain Nadir

phoolon ko apne paanv se thukraaye jaate hain
mal kar vo itr baagh mein itraaye jaate hain

ai dil qaraar sabr hai laazim firaq mein
betaabiyon se kya vo tiri aaye jaate hain

aaye hain din bahaar ke sayyaad kah raha
taair qafas mein baagh ke ghabraaye jaate hain

chuhlo se chhed-chaad se waqif nahin hain vo
kya gudgudaaiye ki vo sharmaae jaate hain

tar sharm ke paseene se aise hue hain raat
malboos-e-khaas dhoop mein sukhlaaye jaate hain

naazuk kamar vo aise hain waqt-e-khiraam-e-naaz
zulfen jo khholte hain to bal khaaye jaate hain

shukr-e-khuda-e-paak hai ai naadir'-e-hazeen
ummat mein ham rasool ki kahlaaye jaate hain

फूलों को अपने पाँव से ठुकराए जाते हैं
मल कर वो इत्र बाग़ में इतराए जाते हैं

ऐ दिल क़रार सब्र है लाज़िम फ़िराक़ में
बेताबियों से क्या वो तिरी आए जाते हैं

आए हैं दिन बहार के सय्याद कह रहा
ताइर क़फ़स में बाग़ के घबराए जाते हैं

चुहलों से छेड़-छाड़ से वाक़िफ़ नहीं हैं वो
क्या गुदगुदाइए कि वो शरमाए जाते हैं

तर शर्म के पसीने से ऐसे हुए हैं रात
मल्बूस-ए-ख़ास धूप में सुखलाए जाते हैं

नाज़ुक कमर वो ऐसे हैं वक़्त-ए-ख़िराम-ए-नाज़
ज़ुल्फ़ें जो खोलते हैं तो बल खाए जाते हैं

शुक्र-ए-ख़ुदा-ए-पाक है ऐ 'नादिर'-ए-हज़ीं
उम्मत में हम रसूल की कहलाए जाते हैं

  - Kalb-E-Hussain Nadir

Sharm Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kalb-E-Hussain Nadir

As you were reading Shayari by Kalb-E-Hussain Nadir

Similar Writers

our suggestion based on Kalb-E-Hussain Nadir

Similar Moods

As you were reading Sharm Shayari Shayari