ai but hain husn mein tiri mashhoor pindaliyaan
aisi kahaan se laaye pari hoor pindaliyaan
mumkin nahin ki yun to kisi ki nazar pade
khul jaayen neend mein to hain ma'zoor pindaliyaan
bedaariyon mein aayein nazar ye to hai muhaal
makhfi hain waqt-e-khwaab b-dastoor pindaliyaan
taabaan misaal-e-sham'a hain faanoos-e-noor se
har-chand paicho mein hain mastur pindaliyaan
ai naadir un ke husn ki taarif kya likhoon
sham-e-lagan se badh ke hain pur-noor pindaliyaan
ऐ बुत हैं हुस्न में तिरी मशहूर पिंडलियाँ
ऐसी कहाँ से लाए परी हूर पिंडलियाँ
मुमकिन नहीं कि यूँ तो किसी की नज़र पड़े
खुल जाएँ नींद में तो हैं मा'ज़ूर पिंडलियाँ
बेदारियों में आईं नज़र ये तो है मुहाल
मख़्फ़ी हैं वक़्त-ए-ख़्वाब ब-दस्तूर पिंडलियाँ
ताबाँ मिसाल-ए-शम्अ हैं फ़ानूस-ए-नूर से
हर-चंद पाइचों में हैं मस्तूर पिंडलियाँ
ऐ 'नादिर' उन के हुस्न की तारीफ़ क्या लिखूँ
शम-ए-लगन से बढ़ के हैं पुर-नूर पिंडलियाँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kalb-E-Hussain Nadir
our suggestion based on Kalb-E-Hussain Nadir
As you were reading Aankhein Shayari Shayari