sar kata kar sifat-e-sham'a jo mar jaate hain | सर कटा कर सिफ़त-ए-शम्अ' जो मर जाते हैं - Kalb-E-Hussain Nadir

sar kata kar sifat-e-sham'a jo mar jaate hain
naam raushan wahi aafaq mein kar jaate hain

laakhon ka khoon bahaayenge vo jab honge jawaan
jo ladakpan mein lahu dekh ke dar jaate hain

jumbish-e-tegh-e-nigah ki nahin haajat aslan
kaam mera vo ishaaron hi mein kar jaate hain

un ko ushshaq hi ke dil ki nahin hai takhsees
koi sheesha ho pari ban ke utar jaate hain

barq ki tarah se betaab jo hain ai naadir
taar-ghar kis ki vo lene ko khabar jaate hain

सर कटा कर सिफ़त-ए-शम्अ' जो मर जाते हैं
नाम रौशन वही आफ़ाक़ में कर जाते हैं

लाखों का ख़ून बहाएँगे वो जब होंगे जवाँ
जो लड़कपन में लहू देख के डर जाते हैं

जुम्बिश-ए-तेग़-ए-निगह की नहीं हाजत असलन
काम मेरा वो इशारों ही में कर जाते हैं

उन को उश्शाक़ ही के दिल की नहीं है तख़सीस
कोई शीशा हो परी बन के उतर जाते हैं

बर्क़ की तरह से बेताब जो हैं ऐ 'नादिर'
तार-घर किस की वो लेने को ख़बर जाते हैं

- Kalb-E-Hussain Nadir
0 Likes

Beti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kalb-E-Hussain Nadir

As you were reading Shayari by Kalb-E-Hussain Nadir

Similar Writers

our suggestion based on Kalb-E-Hussain Nadir

Similar Moods

As you were reading Beti Shayari Shayari