ye jo nang the ye jo naam the mujhe kha gaye
ye khayal-e-pukhta jo khaam the mujhe kha gaye
kabhi apni aankh se zindagi pe nazar na ki
wahi zaaviye ki jo aam the mujhe kha gaye
main ameek tha ki paala hua tha sukoot mein
ye jo log mahv-e-kalaam the mujhe kha gaye
vo jo mujh mein ek ikaai thi vo na jud saki
yahi reza reza jo kaam the mujhe kha gaye
ye ayaan jo aab-e-hayaat hai ise kya karoon
ki nihaan jo zahar ke jaam the mujhe kha gaye
vo nageen jo khaatim-e-zindagi se fisal gaya
to wahi jo mere ghulaam the mujhe kha gaye
main vo shola tha jise daam se to zarar na tha
p jo vasvase tah-e-daam the mujhe kha gaye
jo khuli khuli theen adaavaten mujhe raas theen
ye jo zahr-e-khanda-salaam the mujhe kha gaye
ये जो नंग थे ये जो नाम थे मुझे खा गए
ये ख़याल-ए-पुख़्ता जो ख़ाम थे मुझे खा गए
कभी अपनी आँख से ज़िंदगी पे नज़र न की
वही ज़ाविए कि जो आम थे मुझे खा गए
मैं अमीक़ था कि पला हुआ था सुकूत में
ये जो लोग महव-ए-कलाम थे मुझे खा गए
वो जो मुझ में एक इकाई थी वो न जुड़ सकी
यही रेज़ा रेज़ा जो काम थे मुझे खा गए
ये अयाँ जो आब-ए-हयात है इसे क्या करूँ
कि निहाँ जो ज़हर के जाम थे मुझे खा गए
वो नगीं जो ख़ातिम-ए-ज़िंदगी से फिसल गया
तो वही जो मेरे ग़ुलाम थे मुझे खा गए
मैं वो शो'ला था जिसे दाम से तो ज़रर न था
प जो वसवसे तह-ए-दाम थे मुझे खा गए
जो खुली खुली थीं अदावतें मुझे रास थीं
ये जो ज़हर-ए-ख़ंदा-सलाम थे मुझे खा गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khursheed Rizvi
our suggestion based on Khursheed Rizvi
As you were reading Life Shayari Shayari