qalb bhi gham se bhar gaya kab ka
toot ke phir bikhar gaya kab ka
haadise ke liye karein kya hi
rosh tha jo utar gaya kab ka
yun bichhadkar kahaan mile saahil
khaas lamha guzar gaya kab ka
ab chalo baat aur karte hain
dekho toofan thehar gaya kab ka
dost kahte use hua kya hai
tha vo bigda sudhar gaya kab ka
zikr jiska sabhi kare hain vo
qaid se kaise ghar gaya kab ka
gum-shuda shakhs jo manohar tha
shor-ghul mein vo mar gaya kab ka
क़ल्ब भी ग़म से भर गया कब का
टूट के फिर बिखर गया कब का
हादिसे के लिए करें क्या ही
रोष था जो उतर गया कब का
यूँ बिछड़कर कहाँ मिले साहिल
ख़ास लम्हा गुज़र गया कब का
अब चलो बात और करते हैं
देखो तूफाँ ठहर गया कब का
दोस्त कहते उसे हुआ क्या है
था वो बिगड़ा सुधर गया कब का
ज़िक्र जिसका सभी करे हैं वो
क़ैद से कैसे घर गया कब का
गुम-शुदा शख़्स जो 'मनोहर' था
शोर-ग़ुल में वो मर गया कब का
As you were reading Shayari by Manohar Shimpi
our suggestion based on Manohar Shimpi
As you were reading undefined Shayari