mahak saundhi hawa bhi sard bheegi rut suhaani hai | महक सौंधी हवा भी सर्द भीगी रुत सुहानी है

  - Meenakshi Masoom

mahak saundhi hawa bhi sard bheegi rut suhaani hai
mujhe aise mein tujh se aaj nazdeeki badhaani hai

mujhe tune khushi se muskuraa kar jo nishaani di
zamaane kii buri nazaron se mujhko vo bachaani hai

muhabbat kii lagaaee aag mein dil jal raha mera
mujhe maaloom hai ye aag mujhko khud bujhaani hai

mujhe tera diya vo narm bosa yaad hai ab tak
tabhi to sharm se rukhsaar ziyaada arghwaani hai

sitamgar sirf mera dil tujhe kaafi nahin hai kya
tujhe ab aur gusse mein kahaan bijli giraani hai

mujhe teri nazar kii berukhi jeene nahin degi
teri tirchi nazar ka vaar bhi to jaan-sitaani hai

pukaara pyaar se tune mujhe maasoom kahkar jab
meri saanson mein dhadkan mein ragon mein tab rawaani hai

महक सौंधी हवा भी सर्द भीगी रुत सुहानी है
मुझे ऐसे में तुझ से आज नज़दीकी बढ़ानी है

मुझे तूने ख़ुशी से मुस्कुरा कर जो निशानी दी
ज़माने की बुरी नज़रों से मुझको वो बचानी है

मुहब्बत की लगाई आग में दिल जल रहा मेरा
मुझे मालूम है ये आग मुझको ख़ुद बुझानी है

मुझे तेरा दिया वो नर्म बोसा याद है अब तक
तभी तो शर्म से रुख़सार ज़्यादा अर्ग़वानी है

सितमगर सिर्फ़ मेरा दिल तुझे काफ़ी नहीं है क्या
तुझे अब और ग़ुस्से में कहाँ बिजली गिरानी है

मुझे तेरी नज़र की बेरुख़ी जीने नहीं देगी
तेरी तिरछी नज़र का वार भी तो जाँ-सितानी है

पुकारा प्यार से तूने मुझे 'मासूम' कहकर जब
मेरी साँसों में धड़कन में रगों में तब रवानी है

  - Meenakshi Masoom

More by Meenakshi Masoom

As you were reading Shayari by Meenakshi Masoom

Similar Writers

our suggestion based on Meenakshi Masoom

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari