wada-e-ulfat nahin karte
khaali paimaane nahin bharte
ho gai hai khud kii aadat ab
rindon se ham ab nahin darte
usko laao qatl karne ko
yaar aise ham nahin marte
chhod aaya hoon vo dar main ab
zakhm phir kyun ye nahin bharte
jaane kiski hai ye saazish jo
vo yaqeen ham pe nahin karte
वादा-ए-उल्फ़त नहीं करते
ख़ाली पैमाने नहीं भरते
हो गई है ख़ुद की आदत अब
रिंदों से हम अब नहीं डरते
उसको लाओ क़त्ल करने को
यार ऐसे हम नहीं मरते
छोड़ आया हूँ वो दर मैं अब
ज़ख़्म फिर क्यों ये नहीं भरते
जाने किसकी है ये साज़िश जो
वो यक़ीं हम पे नहीं करते
As you were reading Shayari by Ankur Mishra
our suggestion based on Ankur Mishra
As you were reading undefined Shayari