qurbat ke un dinon mein bhi jaana pada mujhe | क़ुर्बत के उन दिनों में भी जाना पड़ा मुझे - Muntazir Firozabadi

qurbat ke un dinon mein bhi jaana pada mujhe
aankhon se apni raaz chhupaana pada mujhe

dil ko to main ne jhooth se bahla liya magar
thoda bahut to shor machaana pada mujhe

vo chahta tha khelna mere hi jism se
phir darmiyaan ishq ke aana pada mujhe

us ko tha shauq beech samundar mein marne ka
saahil ko kheench kheench ke laana pada mujhe

be-rang karne thi mujhe apni ye zindagi
so shaayri mein rang girana pada mujhe

us ka ye maanna tha ki main us se badh ke hoon
kar ke tabaah khud ko ghataana pada mujhe

tu ban raha khuda hai to ye bhi hisaab de
kitna bigaad kar ke banaana pada mujhe

is sher ko sunaana tha us shakhs ko mujhe
mehfil mein aap ki ye sunaana pada mujhe

क़ुर्बत के उन दिनों में भी जाना पड़ा मुझे
आँखों से अपनी राज़ छुपाना पड़ा मुझे

दिल को तो मैं ने झूठ से बहला लिया मगर
थोड़ा बहुत तो शोर मचाना पड़ा मुझे

वो चाहता था खेलना मेरे ही जिस्म से
फिर दरमियान इश्क़ के आना पड़ा मुझे

उस को था शौक़ बीच समुंदर में मरने का
साहिल को खींच खींच के लाना पड़ा मुझे

बे-रंग करनी थी मुझे अपनी ये ज़िंदगी
सो शाइरी में रंग गिराना पड़ा मुझे

उस का ये मानना था कि मैं उस से बढ़ के हूँ
कर के तबाह ख़ुद को घटाना पड़ा मुझे

तू बन रहा ख़ुदा है तो ये भी हिसाब दे
कितना बिगाड़ कर के बनाना पड़ा मुझे

इस शेर को सुनाना था उस शख़्स को मुझे
महफ़िल में आप की ये सुनाना पड़ा मुझे

- Muntazir Firozabadi
1 Like

Jhooth Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Muntazir Firozabadi

As you were reading Shayari by Muntazir Firozabadi

Similar Writers

our suggestion based on Muntazir Firozabadi

Similar Moods

As you were reading Jhooth Shayari Shayari