nikla hai jo ghar se vo kabhi ghar nahin aata
ik khwaab hi to hai jo mukarrar nahin aata
jo dar raha zulmat se ho to ye kaho usse
lau dikhne se vo raat ka manzar nahin aata
jab gir koii jaaye jo nigaahon mein hi apni
vo shakhs kisi ke bhi barabar nahin aata
aa jaate hain hisse mein jo jab farz ada karne
phir hisse mein unke kabhi bhi ghar nahin aata
jo vo mile paaras kabhi to poochna usse
kyun dariya kii hi or samandar nahin aata
निकला है जो घर से वो कभी घर नहीं आता
इक ख़्वाब ही तो है जो मुकर्रर नहीं आता
जो डर रहा ज़ुल्मत से हो तो ये कहो उससे
लौ दिखने से वो रात का मंज़र नहीं आता
जब गिर कोई जाए जो निगाहों में ही अपनी
वो शख़्स किसी के भी बराबर नहीं आता
आ जाते हैं हिस्से में जो जब फर्ज़ अदा करने
फिर हिस्से में उनके कभी भी घर नहीं आता
जो वो मिले 'पारस' कभी तो पूछना उससे
क्यों दरिया की ही ओर समंदर नहीं आता
As you were reading Shayari by Paras Angral
our suggestion based on Paras Angral
As you were reading undefined Shayari