main kab se apni talash mein hoon mila nahin hoon | मैं कब से अपनी तलाश में हूँ मिला नहीं हूँ

  - Pirzada Qasim

main kab se apni talash mein hoon mila nahin hoon
sawaal ye hai ki main kahin hoon bhi ya nahin hoon

ye mere hone se aur na hone se munkashif hai
ki razm-e-hasti mein kya hoon main aur kya nahin hoon

main shab nizaadon mein subh-e-farda kii aarzoo hoon
main apne imkaan mein raushni hoon saba nahin hoon

gulaab kii tarah ishq mera mahak raha hai
magar abhi us kii kisht-e-dil mein khila nahin hoon

na jaane kitne khudaaon ke darmiyaan hoon lekin
abhi main apne hi haal mein hoon khuda nahin hoon

kabhi to iqaal-mand hogi meri mohabbat
nahin hai imkaan koii magar maanta nahin hoon

hawaon kii dastaras mein kab hoon jo bujh rahoonga
main istiaara hoon raushni ka diya nahin hoon

main apni hi aarzoo kii chashm-e-malaal mein hoon
khula hai dar khwaab ka magar dekhta nahin hoon

udhar tasalsul se shab kii yalghaar hai idhar main
bujha nahin hoon bujha nahin hoon bujha nahin hoon

bahut zaroori hai ahd-e-nau ko jawaab dena
so teekhe lehje mein bolta hoon khafa nahin hoon

मैं कब से अपनी तलाश में हूँ मिला नहीं हूँ
सवाल ये है कि मैं कहीं हूँ भी या नहीं हूँ

ये मेरे होने से और न होने से मुन्कशिफ़ है
कि रज़्म-ए-हस्ती में क्या हूँ मैं और क्या नहीं हूँ

मैं शब निज़ादों में सुब्ह-ए-फ़र्दा की आरज़ू हूँ
मैं अपने इम्काँ में रौशनी हूँ सबा नहीं हूँ

गुलाब की तरह इश्क़ मेरा महक रहा है
मगर अभी उस की किश्त-ए-दिल में खिला नहीं हूँ

न जाने कितने ख़ुदाओं के दरमियाँ हूँ लेकिन
अभी मैं अपने ही हाल में हूँ ख़ुदा नहीं हूँ

कभी तो इक़बाल-मंद होगी मिरी मोहब्बत
नहीं है इम्काँ कोई मगर मानता नहीं हूँ

हवाओं की दस्तरस में कब हूँ जो बुझ रहूँगा
मैं इस्तिआरा हूँ रौशनी का दिया नहीं हूँ

मैं अपनी ही आरज़ू की चश्म-ए-मलाल में हूँ
खुला है दर ख़्वाब का मगर देखता नहीं हूँ

उधर तसलसुल से शब की यलग़ार है इधर मैं
बुझा नहीं हूँ बुझा नहीं हूँ बुझा नहीं हूँ

बहुत ज़रूरी है अहद-ए-नौ को जवाब देना
सो तीखे लहजे में बोलता हूँ ख़फ़ा नहीं हूँ

  - Pirzada Qasim

Hasrat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Pirzada Qasim

As you were reading Shayari by Pirzada Qasim

Similar Writers

our suggestion based on Pirzada Qasim

Similar Moods

As you were reading Hasrat Shayari Shayari