gham se bahl rahe hain aap aap bahut ajeeb hain | ग़म से बहल रहे हैं आप आप बहुत अजीब हैं

  - Pirzada Qasim

gham se bahl rahe hain aap aap bahut ajeeb hain
dard mein dhal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

saaya-e-wasl kab se hai aap ka muntazir magar
hijr mein jal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

apne khilaaf faisla khud hi likha hai aap ne
haath bhi mal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

waqt ne aarzoo ki lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

daaira-waar hi to hain ishq ke raaste tamaam
raah badal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

apni talash ka safar khatm bhi kijie kabhi
khwaab mein chal rahe hain aap aap bahut ajeeb hain

ग़म से बहल रहे हैं आप आप बहुत अजीब हैं
दर्द में ढल रहे हैं आप आप बहुत अजीब हैं

साया-ए-वस्ल कब से है आपका मुंतज़िर मगर
हिज्र में जल रहे हैं आप आप बहुत अजीब हैं

अपने ख़िलाफ़ फ़ैसला ख़ुद ही लिखा है आपने
हाथ भी मल रहे हैं आप आप बहुत अजीब हैं

वक़्त ने आरज़ू की लौ देर हुई बुझा भी दी
अब भी पिघल रहे हैं आप आप बहुत अजीब हैं

दायरा-वार ही तो हैं इश्क़ के रास्ते तमाम
राह बदल रहे हैं आप आप बहुत अजीब हैं

अपनी तलाश का सफ़र ख़त्म भी कीजिए कभी
ख़्वाब में चल रहे हैं आप आप बहुत अजीब हैं

  - Pirzada Qasim

Paani Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Pirzada Qasim

As you were reading Shayari by Pirzada Qasim

Similar Writers

our suggestion based on Pirzada Qasim

Similar Moods

As you were reading Paani Shayari Shayari