ham kya jaanen qissa kya hai ham thehre deewane log
us basti ke bazaaron mein roz kahein afsaane log
yaadon se bachna mushkil hai unko kaise samjhaayen
hijr ke is sehra tak ham ko aate hain samjhaane log
kaun ye jaane deewane par kaisi sakht guzarti hai
aapas mein kuchh kah kar hanste hain jaane pahchaane log
phir sehra se dar lagta hai phir shehron kii yaad aayi
phir shaayad aane waale hain zanjeeren pahnaane log
ham to dil kii veeraani bhi dikhlaate sharmate hain
ham ko dikhlane aate hain zehnon ke veeraane log
us mehfil mein pyaas kii izzat karne waala hoga kaun
jis mehfil mein tod rahe hon aankhon se paimaane log
हम क्या जानें क़िस्सा क्या है हम ठहरे दीवाने लोग
उस बस्ती के बाज़ारों में रोज़ कहें अफ़्साने लोग
यादों से बचना मुश्किल है उनको कैसे समझाएँ
हिज्र के इस सहरा तक हम को आते हैं समझाने लोग
कौन ये जाने दीवाने पर कैसी सख़्त गुज़रती है
आपस में कुछ कह कर हँसते हैं जाने पहचाने लोग
फिर सहरा से डर लगता है फिर शहरों की याद आई
फिर शायद आने वाले हैं ज़ंजीरें पहनाने लोग
हम तो दिल की वीरानी भी दिखलाते शरमाते हैं
हम को दिखलाने आते हैं ज़ेहनों के वीराने लोग
उस महफ़िल में प्यास की इज़्ज़त करने वाला होगा कौन
जिस महफ़िल में तोड़ रहे हों आँखों से पैमाने लोग
As you were reading Shayari by Rahi Masoom Raza
our suggestion based on Rahi Masoom Raza
As you were reading undefined Shayari