de do jo deni hai saza mujhko
pehle kehna magar khata mujhko
isliye bhi main aaya karta hoon
hai yahan koii jaanta mujhko
umr bhar aankh bhar ke jeene ka
ishq par aisa hai saja mujhko
chaal baarish ne chal di hain dost
dar hai dil mein makaan ka mujhko
jab samandar kinaare baitha tha
kah raha tha koii bacha mujhko
ek uske alaava to nabraaj
har koii kehta hai bhala mujhko
दे दो जो देनी है सज़ा मुझको
पहले कहना मगर ख़ता मुझको
इसलिए भी मैं आया करता हूँ
है यहाँ कोई जानता मुझको
उम्र भर आँख भर के जीने का
इश्क़ पर ऐसा है सजा मुझको
चाल बारिश ने चल दी हैं दोस्त
डर है दिल में मकान का मुझको
जब समंदर किनारे बैठा था
कह रहा था कोई बचा मुझको
एक उसके अलावा तो 'नबराज'
हर कोई कहता है भला मुझको
As you were reading Shayari by Nabraj Bharati
our suggestion based on Nabraj Bharati
As you were reading undefined Shayari