zindagi se mujhko nafrat ho rahi hai | ज़िंदगी से मुझको नफ़रत हो रही है

  - Sagar Sahab Badayuni

zindagi se mujhko nafrat ho rahi hai
tumko ab mujhse muhabbat ho rahi hai

kar nahin paata shikaayat main kisi se
so mujhe khud se shikaayat ho rahi hai

dekhke khud ko khushi hoti thi pehle
dekh kar ab khud ko hairat ho rahi hai

aap kyun hairaan mujhko dik rahe hain
aapko bhi mujhse vehshat ho rahi hai

saans lena bhar bhi mushkil hai hamaara
kya kahoon ab aisi haalat ho rahi hai

main jise ab chhod saktaa bhi nahin hoon
vo mujhe ab uski aadat ho rahi hai

zakhm dikhne lag gaye hain chehre pe ab
zakhm jaisi apni soorat ho rahi hai

kaatta hoon waqt apna jis tarah se
kaatne mein bas aziyyat ho rahi hai

aisa socha to nahin tha kya karein ab
aap se bhi apni hijrat ho rahi hai

ज़िंदगी से मुझको नफ़रत हो रही है
तुमको अब मुझसे मुहब्बत हो रही है

कर नहीं पाता शिकायत मैं किसी से
सो मुझे ख़ुद से शिकायत हो रही है

देखके ख़ुद को ख़ुशी होती थी पहले
देख कर अब ख़ुद को हैरत हो रही है

आप क्यूँ हैरान मुझको दिख रहे हैं
आपको भी मुझसे वहशत हो रही है

साँस लेना भर भी मुश्किल है हमारा
क्या कहूँ अब ऐसी हालत हो रही है

मैं जिसे अब छोड़ सकता भी नहीं हूँ
वो मुझे अब उसकी आदत हो रही है

ज़ख़्म दिखने लग गए हैं चेहरे पे अब
ज़ख़्म जैसी अपनी सूरत हो रही है

काटता हूँ वक़्त अपना जिस तरह से
काटने में बस अज़िय्यत हो रही है

ऐसा सोचा तो नहीं था क्या करें अब
आप से भी अपनी हिजरत हो रही है

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari