jaanne laga jab main zindagi ke baare mein
chal gaya pata har ik aadmi ke baare mein
aap jaan sakte hain shor bhi samandar ka
aap jaan len pehle khaamoshi ke baare mein
baat baat pe tum jo khudkushi ka kahte ho
jaante hi kitna ho khudkushi ke baare mein
bas udaas rahna hi sirf tumko aata hai
jaante bhi ho kya kuchh tum khushi ke baare mein
chaaho to chale aao diljalon kii basti mein
koii bhi bata dega is gali ke baare mein
जानने लगा जब मैं ज़िंदगी के बारे में
चल गया पता हर इक आदमी के बारे में
आप जान सकते हैं शोर भी समंदर का
आप जान लें पहले ख़ामुशी के बारे में
बात बात पे तुम जो ख़ुदकुशी का कहते हो
जानते ही कितना हो ख़ुदकुशी के बारे में
बस उदास रहना ही सिर्फ़ तुमको आता है
जानते भी हो क्या कुछ तुम ख़ुशी के बारे में
चाहो तो चले आओ दिलजलों की बस्ती में
कोई भी बता देगा इस गली के बारे में
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading undefined Shayari