yun aankh mein sabhi ke muhabbat na dekhiye | यूँ आँख में सभी के मुहब्बत न देखिए

  - Sagar Sahab Badayuni

yun aankh mein sabhi ke muhabbat na dekhiye
ho jaaye gar kisi se to izzat na dekhiye

tasveer khench di hai musavvir ne khush dikhoon
bas aap uski jo hai haqeeqat na dekhiye

kitni hai aapse ye muhabbat ka soch len
mujhse yahan hai kitnon ko nafrat na dekhiye

is waqt maang lo jo zaroorat hai aapki
mujhko hai kiski kitni zaroorat na dekhiye

be-fikr hoke aap to bas teer kheench kar
kar leejie sitam meri haalat na dekhiye

to kya hua vo mujhse muhabbat na kar saki
ab aap is tarah meri qismat na dekhiye

यूँ आँख में सभी के मुहब्बत न देखिए
हो जाए गर किसी से तो इज़्ज़त न देखिए

तस्वीर खेंच दी है मुसव्विर ने ख़ुश दिखूँ
बस आप उसकी जो है हक़ीक़त न देखिए

कितनी है आपसे ये मुहब्बत का सोच लें
मुझसे यहाँ है कितनों को नफ़रत न देखिए

इस वक़्त माँग लो जो ज़रूरत है आपकी
मुझको है किसकी कितनी ज़रूरत न देखिए

बे-फ़िक्र होके आप तो बस तीर खींच कर
कर लीजिए सितम मिरी हालत न देखिए

तो क्या हुआ वो मुझसे मुहब्बत न कर सकी
अब आप इस तरह मिरी क़िस्मत न देखिए

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari