gir gaya tha qahar uska bastiyon par
kya bhala ilzaam dete aandhiyon par
aaj jalna hi tha qismat mein hamaari
kaise ham gussa dikhaate bijliyon par
jis tarah se dekhti hain uski nazarein
chhod aata hoon main nazarein khidkiyon par
ab kisi ko dar na ho dil tootne ka
phoonk aaya hoon shifaa har ladkiyon par
ik sadi kam hai sunaane jo lagoo main
haal kaise saara likh doon chitthiyon par
phool qismat mein nahin the isliye main
ghazlein likhne lag gaya tha pattiyon par
doob kar unko bacha laaye kinaare
kar diya ehsaan hamne kashtiyon par
aur ik din khatm hoga yah tamasha
chaar kaandhe laash hogi lakdiyon par
गिर गया था क़हर उसका बस्तियों पर
क्या भला इल्ज़ाम देते आँधियों पर
आज जलना ही था क़िस्मत में हमारी
कैसे हम ग़ुस्सा दिखाते बिजलियों पर
जिस तरह से देखती हैं उसकी नज़रें
छोड़ आता हूँ मैं नज़रें खिड़कियों पर
अब किसी को डर न हो दिल टूटने का
फूँक आया हूँ शिफ़ा हर लड़कियों पर
इक सदी कम है सुनाने जो लगूँ मैं
हाल कैसे सारा लिख दूँ चिट्ठियों पर
फूल क़िस्मत में नहीं थे इसलिए मैं
ग़ज़लें लिखने लग गया था पत्तियों पर
डूब कर उनको बचा लाए किनारे
कर दिया एहसान हमने कश्तियों पर
और इक दिन ख़त्म होगा यह तमाशा
चार काँधे लाश होगी लकड़ियों पर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Narazgi Shayari Shayari