tanhaa khud se darta tha kya karta
gham hi mera achha tha kya karta
jab bhi kehna hota tha kuchh khud se
khud hi khud mein rota tha kya karta
maut bulaati thi awaaz laga kar
paas mere phir dariya tha kya karta
maang raha tha ghar qurbaani mujhse
main aakhir ik ladka tha kya karta
yaari sirf parindon se thi meri
logon se dar lagta tha kya karta
jab bhi kehta tha koii rone ko
tab main zor se hansta tha kya karta
तन्हा ख़ुद से डरता था क्या करता
ग़म ही मेरा अच्छा था क्या करता
जब भी कहना होता था कुछ ख़ुद से
ख़ुद ही ख़ुद में रोता था क्या करता
मौत बुलाती थी आवाज़ लगा कर
पास मिरे फिर दरिया था क्या करता
माँग रहा था घर क़ुर्बानी मुझसे
मैं आख़िर इक लड़का था क्या करता
यारी सिर्फ़ परिंदों से थी मेरी
लोगों से डर लगता था क्या करता
जब भी कहता था कोई रोने को
तब मैं ज़ोर से हँसता था क्या करता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Awaaz Shayari Shayari