gar ishq hai to had se guzar thodi jaayenge | गर इश्क़ है तो हद से गुज़र थोड़ी जाएँगे

  - Sagar Sahab Badayuni

gar ishq hai to had se guzar thodi jaayenge
ye khud kushi to jhooth hai kar thodi jaayenge

usse bichhad ke aaj bhi zinda hain theek hain
usse bichhad gaye hain to mar thodi jaayenge

maana ke har kisi ke sataaye hue hain ham
qadmon mein har kisi ke bikhar thodi jaayenge

mujhko kisi kii yaad dilaate hain zakhm ye
ab baat yaad kii hai ye bhar thodi jaayenge

to kya hua jo haar gaye baar baar ham
itni sii baat ke liye ghar thodi jaayenge

achhe hon ya bure hon vo sab dost hain mere
kuchh bhi ho aankh se vo utar thodi jaayenge

ye log jo yahan hain sabhi khaandaani hain
kuchh maang loonga to ye mukar thodi jaayenge

गर इश्क़ है तो हद से गुज़र थोड़ी जाएँगे
ये ख़ुद कुशी तो झूट है कर थोड़ी जाएँगे

उससे बिछड़ के आज भी ज़िंदा हैं ठीक हैं
उससे बिछड़ गए हैं तो मर थोड़ी जाएँगे

माना के हर किसी के सताए हुए हैं हम
कदमों में हर किसी के बिखर थोड़ी जाएँगे

मुझको किसी की याद दिलाते हैं ज़ख़्म ये
अब बात याद की है ये भर थोड़ी जाएँगे

तो क्या हुआ जो हार गए बार बार हम
इतनी सी बात के लिए घर थोड़ी जाएँगे

अच्छे हों या बुरे हों वो सब दोस्त हैं मिरे
कुछ भी हो आँख से वो उतर थोड़ी जाएँगे

ये लोग जो यहाँ हैं सभी ख़ानदानी हैं
कुछ माँग लूँगा तो ये मुकर थोड़ी जाएँगे

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari