kuchh aur din main aap logon mein pukaara jaaunga | कुछ और दिन मैं आप लोगों में पुकारा जाऊँगा

  - Sagar Sahab Badayuni

kuchh aur din main aap logon mein pukaara jaaunga
main waqt hoon be-waqt hi aakhir guzaara jaaunga

ya to nahin jaaunga zarra bhi kisi ke haathon mein
jaane laga to tay hai main saare ka saara jaaunga

ai dasht ab to tu hi apni baahon mein bhar le mujhe
zinda raha to apne haathon se hi maara jaaunga

tanhaa guzarti hi nahin uske bina yah zindagi
tum dekhna ik din main pankhe se utaara jaaunga

कुछ और दिन मैं आप लोगों में पुकारा जाऊँगा
मैं वक़्त हूँ बे-वक़्त ही आख़िर गुज़ारा जाऊँगा

या तो नहीं जाऊँगा ज़र्रा भी किसी के हाथों में
जाने लगा तो तय है मैं सारे का सारा जाऊँगा

ऐ दश्त अब तो तू ही अपनी बाहों में भर ले मुझे
ज़िंदा रहा तो अपने हाथों से ही मारा जाऊँगा

तन्हा गुज़रती ही नहीं उसके बिना यह ज़िंदगी
तुम देखना इक दिन मैं पंखे से उतारा जाऊँगा

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari