yahan par mas'ala mushkil nahin hota juda karna
kabhi to aashiqon ke haal par jaakar dua karna
tadpata dekhta hoon aashiqon ko dil dahalta hai
khuda gar ho sake is dard ki koi dava karna
ta'alluq khatm bhi hota nahin mar kar yahan sabka
wafaayein phir sikhaati hain wafa karna wafa karna
yahi kehta raha sabko kabhi tum us gali jaana
bacha lena nazar apni muhabbat se bacha karna
suhan-var ko mila karti nahin manzil muhabbat mein
tujhe kehta bhi tha ustaad logon se mila karna
tiri mehfil tiri duniya chala hoon aaj thukra kar
kabhi jab yaad aaye to sitaaron se kaha karna
gai jabse mujhe ye bol kar maa yaad aati hai
milega kuchh nahin ro kar tujhe tu khush raha karna
यहाँ पर मसअला मुश्किल नहीं होता जुदा करना
कभी तो आशिक़ों के हाल पर जाकर दुआ करना
तड़पता देखता हूँ आशिक़ों को दिल दहलता है
ख़ुदा गर हो सके इस दर्द की कोई दवा करना
तअ'ल्लुक़ ख़त्म भी होता नहीं मर कर यहाँ सबका
वफ़ाएँ फिर सिखाती हैं वफ़ा करना वफ़ा करना
यही कहता रहा सबको कभी तुम उस गली जाना
बचा लेना नज़र अपनी मुहब्बत से बचा करना
सुख़न-वर को मिला करती नहीं मंज़िल मुहब्बत में
तुझे कहता भी था उस्ताद लोगों से मिला करना
तिरी महफ़िल तिरी दुनिया चला हूँ आज ठुकरा कर
कभी जब याद आए तो सितारों से कहा करना
गई जबसे मुझे ये बोल कर माँ याद आती है
मिलेगा कुछ नहीं रो कर तुझे तू ख़ुश रहा करना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Aawargi Shayari Shayari