aankhon se zakham pair se chaale nahin gaye
dil ye bhara hua hai ki jaale nahin gaye
bhar to gaye hain zakham badan ke sabhi mere
kuchh daagh rah gaye hain jo kaale nahin gaye
ghar jo gaya main laut ke dil bhar gaya mera
ghar jab nahin mila to nivaale nahin gaye
laakhon ghazal suna ke gaya zindagi pe tu
khud pe to chaar misre bhi dhaale nahin gaye
आँखों से ज़ख़्म पैर से छाले नहीं गए
दिल ये भरा हुआ है कि जाले नहीं गए
भर तो गए हैं ज़ख़्म बदन के सभी मिरे
कुछ दाग़ रह गए हैं जो काले नहीं गए
घर जो गया मैं लौट के दिल भर गया मिरा
घर जब नहीं मिला तो निवाले नहीं गए
लाखों ग़ज़ल सुना के गया जिन्दगी पे तू
ख़ुद पे तो चार मिसरे भी ढाले नहीं गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Dil Shayari Shayari