kisi se kab bhala duniya kisi kii maangata tha main | किसी से कब भला दुनिया किसी की माँगता था मैं

  - Sagar Sahab Badayuni

kisi se kab bhala duniya kisi kii maangata tha main
mera bas dil na toote itna hi to chahta tha main

tumhaare baad kii batla raha hoon baat jaan-e-jaan
khudi ke baal ko din raat rehta nochta tha main

kisi ko mil na jaaye yah udaasi umr bhar khaatir
sabhi ko ishq karne se zara sa rokta tha main

hui muddat nahin dastak kabhi koii bhala phir kyun
bade gusse mein darwaaze ko akshar kholta tha main

kisi kii maut par koii yahan rone nahin waala
magar yah baat kyun sabko bataata bolta tha main

khabar aayi thi ladki zahar khaane ja rahi hai phir
karega kya vo ladka bas yahi to sochta tha main

किसी से कब भला दुनिया किसी की माँगता था मैं
मिरा बस दिल न टूटे इतना ही तो चाहता था मैं

तुम्हारे बाद की बतला रहा हूँ बात जान-ए-जाँ
ख़ुदी के बाल को दिन रात रहता नोचता था मैं

किसी को मिल न जाए यह उदासी उम्र भर ख़ातिर
सभी को इश्क़ करने से ज़रा सा रोकता था मैं

हुई मुद्दत नहीं दस्तक कभी कोई भला फिर क्यों
बड़े ग़ुस्से में दरवाज़े को अक्सर खोलता था मैं

किसी की मौत पर कोई यहाँ रोने नहीं वाला
मगर यह बात क्यों सबको बताता बोलता था मैं

ख़बर आई थी लड़की ज़हर खाने जा रही है फिर
करेगा क्या वो लड़का बस यही तो सोचता था मैं

  - Sagar Sahab Badayuni

Khuddari Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Khuddari Shayari Shayari