dil aaj bhi naashaad hai barbaad hai | दिल आज भी नाशाद है बर्बाद है

  - Sagar Sahab Badayuni

dil aaj bhi naashaad hai barbaad hai
yah shakhs tujhko yaad hai barbaad hai

chh saal hone ja rahe hain dekh le
tu bhi kahaan aabaad hai barbaad hai

main qaid mein teri akela to nahin
jo shakhs mere baad hai barbaad hai

sar peetna patthar pe dharti cheernaa
jo bhi bana farhaad hai barbaad hai

ye aashiyana gir raha hai isliye
jo bach gai buniyaad hai barbaad hai

takleef jaise khatm hoti hi nahin
dil jab talak azaad hai barbaad hai

yah dekh kar tumko lagega hi nahin
yah shakhs bhi barbaad hai barbaad hai

दिल आज भी नाशाद है बर्बाद है
यह शख़्स तुझको याद है बर्बाद है

छह साल होने जा रहे हैं देख ले
तू भी कहाँ आबाद है बर्बाद है

मैं क़ैद में तेरी अकेला तो नहीं
जो शख़्स मेरे बाद है बर्बाद है

सर पीटना पत्थर पे धरती चीरना
जो भी बना फ़रहाद है बर्बाद है

ये आशियाना गिर रहा है इसलिए
जो बच गई बुनियाद है बर्बाद है

तकलीफ़ जैसे ख़त्म होती ही नहीं
दिल जब तलक आज़ाद है बर्बाद है

यह देख कर तुमको लगेगा ही नहीं
यह शख़्स भी बर्बाद है बर्बाद है

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari