musalsal dil kahin bhi tera lagne ye nahin waala | मुसलसल दिल कहीं भी तेरा लगने ये नहीं वाला - Sagar Sahab Badayuni

musalsal dil kahin bhi tera lagne ye nahin waala
agar lag bhi gaya to chain se rahne nahin waala

meri is baat par koii yaqeen karne nahin waala
tumhaara zakhm ye is saal bhi bharne nahin waala

yaqeen tujhko dilaaega tira hi to hai vo lekin
yaqeen tu kar mera hargiz tira hone nahin waala

mere har zakhm ko maine bhara hai pattharon se yun
badan par zakhm koii bhi naya ugne nahin waala

akela kaata ja to sakta hai ye waqt par lekin
kisi ke saath rah kar waqt ye katne nahin waala

idhar kirdaar mitne ko mera taiyaar hai lekin
udhar kirdaar chalna hai abhi mitne nahin waala

abhi bhi waqt hai apna kisi se haal mat kehna
tire is haal par koii yahan rone nahin waala

zara sa sabr tu karle tujhe vo mil hi jaayega
tiri qeemat bhi samjhega tujhe khone nahin waala

मुसलसल दिल कहीं भी तेरा लगने ये नहीं वाला
अगर लग भी गया तो चैन से रहने नहीं वाला

मिरी इस बात पर कोई यक़ीं करने नहीं वाला
तुम्हारा ज़ख़्म ये इस साल भी भरने नहीं वाला

यक़ीं तुझको दिलाएगा तिरा ही तो है वो लेकिन
यक़ीं तू कर मिरा हरगिज़ तिरा होने नहीं वाला

मिरे हर ज़ख़्म को मैंने भरा है पत्थरों से यूँ
बदन पर ज़ख़्म कोई भी नया उगने नहीं वाला

अकेले काटा जा तो सकता है ये वक़्त पर लेकिन
किसी के साथ रह कर वक़्त ये कटने नहीं वाला

इधर किरदार मिटने को मिरा तैयार है लेकिन
उधर किरदार चलना है अभी मिटने नहीं वाला

अभी भी वक़्त है अपना किसी से हाल मत कहना
तिरे इस हाल पर कोई यहाँ रोने नहीं वाला

ज़रा सा सब्र तू करले तुझे वो मिल ही जाएगा
तिरी क़ीमत भी समझेगा तुझे खोने नहीं वाला

- Sagar Sahab Badayuni
2 Likes

Relationship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Relationship Shayari Shayari