nahin thi aap sii taqdeer haathon mein | नहीं थी आप सी तक़दीर हाथों में - Sagar Sahab Badayuni

nahin thi aap sii taqdeer haathon mein
hamesha hi rahi janjeer haathon mein

kabhi haathon mein tera haath rehta tha
bachi hai ab tiri tasveer haathon mein

udaasi se bhari ghazlein meri kyun hai
kahaan se aa gai taaseer haathon mein

inhen paala hai ik maa kii tarah maine
mere sab dukh hue taameer haathon mein

mere haathon ke chaale dekho lagta hai
kisi ne rakh diya kashmir haathon mein

mere haathon mein likhne ka hunar bhi tha
thama di kisne ye shamsheer haathon mein

नहीं थी आप सी तक़दीर हाथों में
हमेशा ही रही जंजीर हाथों में

कभी हाथों में तेरा हाथ रहता था
बची है अब तिरी तस्वीर हाथों में

उदासी से भरी ग़ज़लें मिरी क्यों है
कहाँ से आ गई तासीर हाथों में

इन्हें पाला है इक माँ की तरह मैंने
मिरे सब दुख हुए तामीर हाथों में

मिरे हाथों के छाले देखो लगता है
किसी ने रख दिया कश्मीर हाथों में

मिरे हाथों में लिखने का हुनर भी था
थमा दी किसने ये शमशीर हाथों में

- Sagar Sahab Badayuni
1 Like

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari