zakham roz ro ro kar cheekhte nahin dekhe | ज़ख़्म रोज़ रो रो कर चीख़ते नहीं देखे

  - Sagar Sahab Badayuni

zakham roz ro ro kar cheekhte nahin dekhe
achha hi hua vo din aapne nahin dekhe

hamse poocho kitna hai in udaasiyon ka dukh
aap ne abhi lagta haadse nahin dekhe

ho sake to samjhaana apne aashiqon ko tu
jang mein tiri khaatir qafile nahin dekhe

paanv jalte the mere chalna seekha tha jab tak
chalna aaya jab mujhko haasiye nahin dekhe

dost ki wafaon mein mutmain rahe itna
baad jab ghazal likkhi qaafiye nahin dekhe

haal dekh kar bhi tu milne tak nahin aaya
tujhko milna tha jab bhi faasle nahin dekhe

mujhko dekh ta hai jab kehta hai ghaneemat hai
zakham usne andar se jhaank ke nahin dekhe

dard jab sunaata hoon hansta hai mera chehra
lafz tab kisi ne bhi kaanpate nahin dekhe

ज़ख़्म रोज़ रो रो कर चीख़ते नहीं देखे
अच्छा ही हुआ वो दिन आपने नहीं देखे

हमसे पूछो कितना है इन उदासियों का दुख
आप ने अभी लगता हादसे नहीं देखे

हो सके तो समझाना अपने आशिक़ों को तू
जंग में तिरी ख़ातिर क़ाफ़िले नहीं देखे

पाँव जलते थे मेरे चलना सीखा था जब तक
चलना आया जब मुझको हासिए नहीं देखे

दोस्त की वफ़ाओं में मुतमइन रहे इतना
बाद जब ग़ज़ल लिक्खी क़ाफ़िए नहीं देखे

हाल देख कर भी तू मिलने तक नहीं आया
तुझको मिलना था जब भी फ़ासले नहीं देखे

मुझको देख ता है जब कहता है ग़नीमत है
ज़ख़्म उसने अंदर से झाँक के नहीं देखे

दर्द जब सुनाता हूँ हँसता है मिरा चेहरा
लफ़्ज़ तब किसी ने भी काँपते नहीं देखे

  - Sagar Sahab Badayuni

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari