ye dil duniya se bhar jaaye use kehna
yahan bhi laut kar aaye use kehna
main uski ghalatiyaan bhi maaf kar doonga
mere seene se lag jaaye use kehna
jawaani shor hai dariya ke paani ka
vo itna bhi na itraaye use kehna
mere hi zakhm karte hain dava meri
bache kuchh zakhm sil jaaye use kehna
udaasi is tarah ghar karke baithi hai
mujhe dikhte hain kuchh saaye use kehna
qasam khaai thi mere saath jeene kii
mere marte hi mar jaaye use kehna
mera jeena mera marna likha jinmein
kitaaben saath dafnaaye use kehna
ये दिल दुनिया से भर जाए उसे कहना
यहाँ भी लौट कर आए उसे कहना
मैं उसकी ग़लतियाँ भी माफ़ कर दूँगा
मिरे सीने से लग जाए उसे कहना
जवानी शोर है दरिया के पानी का
वो इतना भी न इतराए उसे कहना
मिरे ही ज़ख़्म करते हैं दवा मेरी
बचे कुछ ज़ख़्म सिल जाए उसे कहना
उदासी इस तरह घर करके बैठी है
मुझे दिखते हैं कुछ साए उसे कहना
क़सम खाई थी मेरे साथ जीने की
मिरे मरते ही मर जाए उसे कहना
मिरा जीना मिरा मरना लिखा जिनमें
किताबें साथ दफ़नाए उसे कहना
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading undefined Shayari