dekho hamaare paas ab gham ke siva kuch bhi nahin | देखो हमारे पास अब ग़म के सिवा कुछ भी नहीं - Sagar Sahab Badayuni

dekho hamaare paas ab gham ke siva kuch bhi nahin
hum aashiq-e-beemaar hain apni dava kuch bhi nahin

us ek aurat ne hamaara dil dukhaaya hai bahut
hai yah sharaafat aaj tak hamne kaha kuch bhi nahin

hamko mohabbat mein yahi dam todta rishta mila
vo bhi muqaddar le gaya apna bacha kuch bhi nahin

jab se laga hoon seekhne kirdaar padhne ka hunar
khulne lage chehre wahi jin par likha kuch bhi nahin

देखो हमारे पास अब ग़म के सिवा कुछ भी नहीं
हम 'आशिक़-ए-बीमार हैं अपनी दवा कुछ भी नहीं

उस एक औरत ने हमारा दिल दुखाया है बहुत
है यह शराफ़त आज तक हमनें कहा कुछ भी नहीं

हमको मोहब्बत में यही दम तोड़ता रिश्ता मिला
वो भी मुक़द्दर ले गया अपना बचा कुछ भी नहीं

जब से लगा हूँ सीखने किरदार पढ़ने का हुनर
खुलने लगे चेहरे वही जिन पर लिखा कुछ भी नहीं

- Sagar Sahab Badayuni
3 Likes

Romance Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Romance Shayari Shayari