be-wafa aur agar honge tumhaare jaise | बे-वफ़ा और अगर होंगे तुम्हारे जैसे

  - Sagar Sahab Badayuni

be-wafa aur agar honge tumhaare jaise
to zaroori hai ki paida hon hamaare jaise

in dinon bhaag raha hoon main kisi ke peechhe
koii awaaz hai jo roz pukaare jaise

yaad be waqt chali aati hai jab bhi teri
chalne lagte hain mere seene pe aare jaise

teri takleef se mehsoos mujhe hota hai
tune kaate hain vo din maine guzaare jaise

jis tarah maut hui doob ke ye lagta hai
der tak baitha hua ho vo kinaare jaise

बे-वफ़ा और अगर होंगे तुम्हारे जैसे
तो ज़रूरी है कि पैदा हों हमारे जैसे

इन दिनों भाग रहा हूँ मैं किसी के पीछे
कोई आवाज़ है जो रोज़ पुकारे जैसे

याद बे वक़्त चली आती है जब भी तेरी
चलने लगते हैं मिरे सीने पे आरे जैसे

तेरी तकलीफ़ से महसूस मुझे होता है
तूने काटे हैं वो दिन मैंने गुज़ारे जैसे

जिस तरह मौत हुई डूब के ये लगता है
देर तक बैठा हुआ हो वो किनारे जैसे

  - Sagar Sahab Badayuni

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari