ik ghazal sunaata hoon zakhm ke hawaale se | इक ग़ज़ल सुनाता हूँ ज़ख़्म के हवाले से

  - Sagar Sahab Badayuni

ik ghazal sunaata hoon zakhm ke hawaale se
aa nahin raha baahar shakhs ik nikale se

teergi mein apne din din guzar rahe the bas
mujhko lagta hai dar bas khauf is ujaale se

zakhm gahra ho jaaye raasta nikal aaye
rooh phir nikal jaani ek roz chaale se

kya ye ab mere ye din din ye aakhiri hain kya
roz kyun nazar aate chaar log kaale se

इक ग़ज़ल सुनाता हूँ ज़ख़्म के हवाले से
आ नहीं रहा बाहर शख़्स इक निकाले से

तीरगी में अपने दिन दिन गुज़र रहे थे बस
मुझको लगता है डर बस ख़ौफ़ इस उजाले से

ज़ख़्म गहरा हो जाए रास्ता निकल आए
रूह फिर निकल जानी एक रोज़ छाले से

क्या ये अब मिरे ये दिन दिन ये आख़िरी हैं क्या
रोज़ क्यों नज़र आते चार लोग काले से

  - Sagar Sahab Badayuni

Teer Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Teer Shayari Shayari