baithe baithe hi sahi aankh to bhar jaati hai
yaad bhi uski chalo kaam to kar jaati hai
pehle yah umr guzarti hi nahin jiske bin
phir yahi umr bina uske guzar jaati hai
ek hi baat se to dil mein utarti duniya
ek hi baat se phir dil se utar jaati hai
saltanat baad udaasi ki sambhaalega kaun
sochta hoon to meri tum pe nazar jaati hai
kaise sab log chale aate hain rote rote
koii batlaaye vo kya hai jo khabar jaati hai
बैठे बैठे ही सही आँख तो भर जाती है
याद भी उसकी चलो काम तो कर जाती है
पहले यह उम्र गुज़रती ही नहीं जिसके बिन
फिर यही उम्र बिना उसके गुज़र जाती है
एक ही बात से तो दिल में उतरती दुनिया
एक ही बात से फिर दिल से उतर जाती है
सल्तनत बाद उदासी कि सँभालेगा कौन
सोचता हूँ तो मिरी तुम पे नज़र जाती है
कैसे सब लोग चले आते हैं रोते रोते
कोई बतलाए वो क्या है जो ख़बर जाती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Chehra Shayari Shayari