jiske khaatir main ye nuksaan utha saktaa tha
kuchh na baaki tha jo rishte mein bacha saktaa tha
maine koshish hi nahin kii thi khushi kii ai dost
varna dil kya hai kahin bhi main laga saktaa tha
usne poocha hi nahin mujhse bichhadne ka sabab
kehna kya hota hai main mar ke dikha saktaa tha
meri taaleem ne bas rok liya tha mujhko
chahta to main bhi phir haath utha saktaa tha
aap jo pooch rahe hain ki udaasi kya hai
mujhse behtar ye bhala kaun bata saktaa tha
jitne gusse ko main pee kar ke gaya tha us din
utne gusse mein to duniya ko jala saktaa tha
जिसके ख़ातिर मैं ये नुक़सान उठा सकता था
कुछ न बाक़ी था जो रिश्ते में बचा सकता था
मैंने कोशिश ही नहीं की थी ख़ुशी की ऐ दोस्त
वरना दिल क्या है कहीं भी मैं लगा सकता था
उसने पूछा ही नहीं मुझसे बिछड़ने का सबब
कहना क्या होता है मैं मर के दिखा सकता था
मेरी तालीम ने बस रोक लिया था मुझको
चाहता तो मैं भी फिर हाथ उठा सकता था
आप जो पूछ रहे हैं कि उदासी क्या है
मुझसे बेहतर ये भला कौन बता सकता था
जितने ग़ुस्से को मैं पी कर के गया था उस दिन
उतने ग़ुस्से में तो दुनिया को जला सकता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Bekhayali Shayari Shayari