jab se kaha hai koi bhi apna nahin mera
mujh ko ye dard chhod ke jaata nahin mera
sadma laga hua hai kisi baat ka ise
dil ye kisi bhi baat pe rota nahin mera
jis par lagi hui ho zamaane ki har khushi
hansta hua kabhi bhi vo chehra nahin mera
mujhko vo dekh dekh ke roti hai raat din
maa kah rahi hai sabse ye ladka nahin mera
din ab ye aa gaye hain to kehna pada mujhe
marham kisi bhi zakham ko bharta nahin mera
main laakh rokta hoon magar chhod kar sabhi
jaate hain mujhko ek bhi rehta nahin mera
us bewafa ki aag mera ladka kha gai
ladka kisi bhi haal mein marta nahin mera
uske baghair kaat raha hoon ye zindagi
jiske baghair pal bhi tha katata nahin mera
जब से कहा है कोई भी अपना नहीं मिरा
मुझ को ये दर्द छोड़ के जाता नहीं मिरा
सदमा लगा हुआ है किसी बात का इसे
दिल ये किसी भी बात पे रोता नहीं मिरा
जिस पर लगी हुई हो ज़माने की हर ख़ुशी
हँसता हुआ कभी भी वो चेहरा नहीं मिरा
मुझको वो देख देख के रोती है रात दिन
माँ कह रही है सबसे ये लड़का नहीं मिरा
दिन अब ये आ गए हैं तो कहना पड़ा मुझे
मरहम किसी भी ज़ख़्म को भरता नहीं मिरा
मैं लाख रोकता हूँ मगर छोड़ कर सभी
जाते हैं मुझको एक भी रहता नहीं मिरा
उस बेवफ़ा की आग मिरा लड़का खा गई
लड़का किसी भी हाल में मरता नहीं मिरा
उसके बग़ैर काट रहा हूँ ये ज़िंदगी
जिसके बग़ैर पल भी था कटता नहीं मिरा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Dard Shayari Shayari