dil ro raha tha kah ke bata kya nahin kiya | दिल रो रहा था कह के बता क्या नहीं किया

  - Sagar Sahab Badayuni

dil ro raha tha kah ke bata kya nahin kiya
yah tu ne khud ke saath mein achha nahin kiya

jo bhi gaya tha chhod ke jaane diya use
hamne kisi ke saath mein dhoka nahin kiya

apne ghamon ka bojh hi dhote rahe sada
apne ghamon ka hamne tamasha nahin kiya

maine to saath marne ka daava kiya tha par
usne hi saath rahne ka vaada nahin kiya

is baat ko main kya main tiri marzi maan loon
is baar mujhko dekh ke pardaa nahin kiya

jo bhi diya khuda ne muqaddar samajh liya
usse kisi bhi haal mein shikwa nahin kiya

maana ki waqt apna nahin theek chal raha
apne ghamon ka khushiyon se rishta nahin kiya

aao ki dono aaj muhabbat se milte hain
hamne bahut dinon se hai jhagda nahin kiya

दिल रो रहा था कह के बता क्या नहीं किया
यह तू ने ख़ुद के साथ में अच्छा नहीं किया

जो भी गया था छोड़ के जाने दिया उसे
हमने किसी के साथ में धोका नहीं किया

अपने ग़मों का बोझ ही ढोते रहे सदा
अपने ग़मों का हमने तमाशा नहीं किया

मैंने तो साथ मरने का दावा किया था पर
उसने ही साथ रहने का वादा नहीं किया

इस बात को मैं क्या मैं तिरी मर्ज़ी मान लूँ
इस बार मुझको देख के परदा नहीं किया

जो भी दिया ख़ुदा ने मुक़द्दर समझ लिया
उससे किसी भी हाल में शिकवा नहीं किया

माना कि वक़्त अपना नहीं ठीक चल रहा
अपने ग़मों का ख़ुशियों से रिश्ता नहीं किया

आओ कि दोनों आज मुहब्बत से मिलते हैं
हमने बहुत दिनों से है झगड़ा नहीं किया

  - Sagar Sahab Badayuni

Kismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Kismat Shayari Shayari