zakhm ka bazaar hai bas ishq karte jaaie | ज़ख़्म का बाज़ार है बस इश्क़ करते जाइए

  - Alam Farrukhabadi

zakhm ka bazaar hai bas ishq karte jaaie
maal bhi taiyaar hai bas ishq karte jaaie

aadmi to kuchh nahi hai aadmi se dar gaye
aadmi bekar hai bas ishq karte jaaie

tod kar saari hadein main aa khada hoon daar pe
dhah gai deewaar hai bas ishq karte jaaie

ishq se haasil hua hai sabr ka ye hausla
dard hi meyaar hai bas ishq karte jaaie

aap kii chaara-gari se theek hote hi vo shakhs
shauq se beemaar hai bas ishq karte jaaie

dhundhta hoon jis jahaan ko aaj bhi aalam kahin
hijr ke us paar hai bas ishq karte jaaie

ज़ख़्म का बाज़ार है बस इश्क़ करते जाइए
माल भी तैयार है बस इश्क़ करते जाइए

आदमी तो कुछ नही है आदमी से डर गए
आदमी बेकार है बस इश्क़ करते जाइए

तोड़ कर सारी हदें मैं आ खड़ा हूॅं दार पे
ढह गई दीवार है बस इश्क़ करते जाइए

इश्क़ से हासिल हुआ है सब्र का ये हौसला
दर्द ही मेयार है बस इश्क़ करते जाइए

आप की चारा-गरी से ठीक होते ही वो शख़्स
शौक़ से बीमार है बस इश्क़ करते जाइए

ढूॅंढता हूॅं जिस जहाँ को आज भी आलम कहीं
हिज्र के उस पार है बस इश्क़ करते जाइए

  - Alam Farrukhabadi

More by Alam Farrukhabadi

As you were reading Shayari by Alam Farrukhabadi

Similar Writers

our suggestion based on Alam Farrukhabadi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari