be-jazbaat main ab karta hoon jaan-e-man
thodi baat main ab karta hoon jaan-e-man
us ko chaand sar-aankhon par ab haazir ho
din ko raat main ab karta hoon jaan-e-man
lab aaraam se kitni lazzat paate hain
teri baat main ab karta hoon jaan-e-man
dil barbaad to pehle bhi tha phir uski
jo haalaat main ab karta hoon jaan-e-man
kaar-e-ishq yoon bhi chhodaa tha anban mein
haathon haath main ab karta hoon jaan-e-man
बे-जज़्बात मैं अब करता हूॅं जान-ए-मन
थोड़ी बात मैं अब करता हूॅं जान-ए-मन
उस को चाँद सर-आँखों पर अब हाज़िर हो
दिन को रात मैं अब करता हूॅं जान-ए-मन
लब आराम से कितनी लज़्ज़त पाते हैं
तेरी बात मैं अब करता हूॅं जान-ए-मन
दिल बरबाद तो पहले भी था फिर उसकी
जो हालात मैं अब करता हूॅं जान-ए-मन
कार-ए-इश्क़ यूॅं भी छोड़ा था अनबन में
हाथों हाथ मैं अब करता हूॅं जान-ए-मन
As you were reading Shayari by Alam Farrukhabadi
our suggestion based on Alam Farrukhabadi
As you were reading undefined Shayari